Google Maps pe dikhiye
"Sweets near me" ya "coaching Poonch" search karne pe aapki dukaan, photo, timing aur phone number dikhega.
Poonch & Jammu ki dukaanon ke liye
Aapki apni website, "WhatsApp pe order karein" button, aur Google Maps pe sahi listing. Naye customer aapko dhoondhenge, purane ghar baithe order karenge.
Dukaan jaane se pehle log Google, Maps aur WhatsApp pe dekhte hain. Jo dukaan wahan nahi dikhti, uska customer doosri dukaan pe chala jaata hai.
"Sweets near me" ya "coaching Poonch" search karne pe aapki dukaan, photo, timing aur phone number dikhega.
Customer saaman aur rate dekhe, ek button dabaye, aur order seedha aapke WhatsApp pe aaye. Koi app nahi, koi commission nahi.
Apni website wali dukaan badi aur pakki lagti hai. Photos, rate aur address dekh ke naya customer bina jhijhak aata hai.
Ek asli dukaan jo humne banayi aur chalate hain, aur alag alag dukaanon ke namune design, taaki aap dekh sakein ki aapki website kaisi dikhegi.
Poonch ka apna clothing brand. Poora online store humne banaya aur khud chalate hain: products, size chart, online order, Cash on Delivery, offers, WhatsApp updates aur Instagram/Facebook ads.
Rate list, cake order, tyohaar offers
Naye design ki gallery, size, WhatsApp order
Courses, fees, timing, admission form
Doctor timing, appointment, location
Namuna designs ke naam kaalpanik hain (asli dukaanein nahi). Aapki website aapke naam, photos aur rate ke saath banegi.
Dukaan ka naam, photos, saaman aur rate. Har phone pe fast khulti hai.
Har item ke saath. Order seedha aapke number pe aata hai.
Nayi banayenge ya purani theek karenge: photo, timing, phone.
Ek tap mein call, ek tap mein raasta.
Pehla saal shamil. Aapka apna naam, jaise noorsweets.in.
Hindi, Urdu ya English. Jaise aapke customer padhte hain.
₹4,999 ₹2,999
Pehli 2 dukaanon ke liye. Badle mein bas ek chhota video review.
Optional: ₹999/mahina mein hum har mahine photos, rate aur offers update karte rahenge.
Ye hamari nayi service hai. Shuru ki dukaanon ko kam daam mein isliye de rahe hain taaki Poonch mein log hamara kaam apni aankhon se dekhein.
Free namuna dekhne tak kuch nahi. Pasand aaye to 50% advance (UPI ya cash), baaki 50% website live hone aur aapke check karne ke baad.
Main Sadaf hoon, Poonch (J&K) se. Main websites aur online stores banata hoon. Grinkrawear, Poonch ka apna clothing brand, maine khud banaya aur chalata hoon. Ab wahi kaam main yahan ki dukaanon ke liye kar raha hoon.
Koi call centre nahi. Aap seedha mujhse baat karenge, aur chahein to dukaan pe aakar mil bhi sakta hoon.
Haan. Aapko kuch nahi karna. Bas photos aur rate WhatsApp pe bhejiye. Order bhi WhatsApp pe hi aayenge, jo aap pehle se chalate hain.
15 din tak free. Uske baad WhatsApp pe bhejiye: monthly plan mein free, warna har baar ₹199.
Sirf domain aur hosting, lagbhag ₹1,500 saal ka. Monthly plan lene par usi mein shamil.
Haan, aapka UPI QR website pe laga dete hain. Bade online store (jaise Grinkrawear) ke liye alag price, baat kar lijiye.
Jammu, Rajouri aur poore J&K mein, aur bahar bhi. Sab kaam WhatsApp pe ho jaata hai.
Form bhariye. 24 ghante ke andar hum WhatsApp ya call karenge. Koi charge nahi, koi zabardasti nahi.
Ya seedha WhatsApp kijiye